BAARISH kya keh gayi – by Milan Himatlal Zaveri

BAARISH

Jo hansi na ruki,
jo khushi na thami,
Jo Poori hui farmaish,
Vo khushiyo waali baarish,
Lo boond boond beh gayi..
Ye baarish kya kya keh gayi.

Jo gam na ghata,
Jo aah na uthi,
Jo reh gayi dil mei qhwaish,
Vo dard se bojhal baarish..
Lo boond boond beh gayi.
Ye baarish kya kya keh gayi.

Bachhe jisme khelte hai,
Premi jisme machaltey hai,
Ameer jisme behaltey hai,
Gareeb usiko jheltey hai..
Apni apni hai guzaarish,
Vo jhumne jhelne ki barish,
Lo boond boond beh gayi..
Ye baarish kya kya keh gayi.

Jiske nal mei paani nahi vo,
Kai dino baad snan kar raha,
Chhat jiski tapak rahi vo,
Nind mebhi dance kar raha,
To disco ke floor pe koi,
Mast rain dance kar raha,
Bas alag alag hai numaish,
Vo nachaane waali baarish,
Lo boond boond beh gayi..
Ye baarish kya kya keh gayi.

Soch raha jaise bhagwaan,
Kyu banaya mainey insaan,
Jo khud ko kho raha hai,
Koi hai upar jo ro raha hai,
Ab Khudai ki hai aazmaish,
Vo umeedo waali baarish,
Lo boond boond beh gayi..
Ye baarish kya kya keh gayi.
Ye baarish kya kya keh gayi.

Comments are closed.